Skip to content

Islamic Lyrics

Usman / 15 August, 2024 / 14 views

 

woh mah-e-farozan

woh mah-e-farozan
woh nayyar-e-taaban
mera mustafa hai
mera mustafa hai

woh bara rabi ul awwal ko aya
jo awwal bana hai mera mustafa hai

to kya tu ne dekha woh mausam badalna
woh pathar zameen par phoolon ka khilna
woh arsh-e-ula ka zameen par utarna
jo haan utra hai mera Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai

to kya tu ne dekha hai quran ko chalte
ke sehra mein jaise darya hon behte
woh tareek raaton mein suraj nikalte
jo haan nikla hai mera mustafa hai

to kya tu ne dekhi hai aisi qabaein
ke mah o mahar bhi lein jin se ziayein
woh paivand ke jaisi saji kehkashaein
jo yeh pehnta hai mera Mustafa hai

to kya tu ne dekha woh rahmat ka manzar
idhar se dua’ein udhar se hain pathar
woh taif ki wadi woh dawar ka dilbar
jo tanha kharra hai mera Mustafa hai

to kya tu ne dekha woh ana woh jana
ke hairat mein hai ab talak yeh zamana
woh rab ka bulana to sab ko batana
yeh jo aa raha hai mera Mustafa hai

qudsi kharre hain hairaan ho ke
ke sidra se aage bashar jaa raha hai

woh ban than ke apne khaliq se milne
sar-e-arsh woh taajwar jaa raha hai

jaata hai dekho woh bekhauf kaise
keh sab jaanta hai yeh raahein woh jaise
woh yoon jaa raha hai jaise ke koi
ghar wala apne hi ghar jaa raha hai

aqsa mein jitne bhi mursal kharre the
hairat mein saare ke saare parre the
ke hum us ke peeche yeh kya kar rahe hain
namzein hi lene agar jaa raha hai

woh kissa haleema ke aangan ka poocho
jawwani ko chodo tum bachpan ka poocho
abhi mustafa ne uthai hai ungli
qamar se to poocho kidhar jaa raha hai

kisi par jo guzre use fikr kab hai
chale su-e-maghrib use hukm-e-rab hai
magar unki ungli pe qurban hone
khurshid su-e-asr jaa raha hai

qudsi kharre hain hairaan ho ke
ke sidra se aage bashar jaa raha hai

kahan tu hai shakir kahan unki naatein
kahan apni zaatein kahan unki baatein
yeh kyoun keh rahe ho bashar jaa raha
haqeeqat mein khayr-ul-bashar jaa raha hai