Pekar e dil ruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya
Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya
Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara
Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya
Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya
Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya
Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami
Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya
Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai
Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya
He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki
Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya