Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.
Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya.
Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai.
Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam.
Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai.
Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se.
Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai.
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka.
Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka.
Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka.
Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka.
Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye.
Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka noor hi kahye khuda ka noor hai.
Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.