Islamic Lyrics
Admin / 13 April, 2024 / 45 viewsBula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Madine jaane waalo jaao, jaao fi amaanillah
Kabhi to apna bhi lag jaayega bistar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Salaam-e-shok kehna haajiyon mera bhi ro ro kar
Tumhein aaye nazar jab Roza-e-Anwar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Payam-e-shok lete jao mera kafile waalo
Suna na dastaan-e-gham meri ro kar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Mera gham bhi to dekho, main pada hoon door Taiba se
Sukoon payega bas mera dil-e-mujtar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Na ho mayyus diwaano pukare jao tum unko
Bulaayenge tumhein bhi ek din sarwar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Bula lo ham gareebo ko bula lo ya RasoolAllah
Paye Sabir-o-Sabbar Fatima Haider Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Na daulat de na sarwat de mujhe yeh saadat de
Tere qadmon mein mar jaaoon main ro ro kar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Ata kardo bakiye pak mein mad-dafan
Meri ban jaaye turbat ya Shah-e-Kosar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Khudaya wasila deta hoon mere Ghaus-e-Azam ka
Dikha de sabz gumbad ka hasi manzar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Madine mein janatul-firdaus se bhi ola-o-aala
Rasool-e-Pak ka hai Roza-e-Anwar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Madine mein mera seena ho, mera seena Madine ho
Madine dil ke andar ho dil-e-mujtar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Mujhe neki ki dawat ke liye rakho jahan bhi kaash
Main khwabon mein hi pohunchta rahu baar baar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Wahan ek saas mil jaaye bas yahi hai jannat ka haasil
Wo kismat ka dhani hai jo gaya dam bhar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Chalo chaukhat par unki rakh kar sar qurbaan ho jaaye
Hayaat-e-javedaani paayein mar kar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Kaha bhi soz hai duniya ke gulzaaron mein baagon mein?
Faza-pur-kaif hai lo dekh lo aakar Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Wasila tujhko Abu Bakr-o-Umar, Usman-o-Haider ka
Ilahi tu ata karde ghar humein bhi Madine mein
Bula lo phir mujhe ae Shah-e-Behr-o-Bar Madine mein
Main phir rota hua aaoon tere dar par Madine mein
Madine ka isliye attar, jaan-o-dil se hai pyaara
Ke rehte hain mere aqa mere sarwar Madine mein